Google+ Daily Awesome Quotes: Sher-o-Shayari

Sher-o-Shayari

Woh hote agar
Woh hote koi kali jo khil jate,
Aur hum unki mahek ban jate.
Woh hote koi sahil to,
Hum kinara ban ke unki bahoen main sojate.
Woh hote agar chaand to,
Hum unki chandni ban ke
unke khali jahaen main beshumar mohabbat latey.
Woh hote agar suraj to ,
Hum unki kirne ban ke unki zindagi mai ujala late.
Woh hote agar paedd to,
Hum unke pattae ban jate aur naya phal khilate.
Magar ye to hain sab batien,
Agar hum hi na hote to,
Ise kaoun nibhate.

Mere marne ke baad
mere jalne se phale
AAye YAARO !
Mera dil Nikal leena
Kahi is me Rahne wale ne Jal jaye



Jab kabhi
Chalte chalte thak saa jaataa hoon
Bheed mein kho saa jaataa hoon
Kucch karte karte karte hataash
Saa ho jaata hoon

Tab,
Band kar leta hoon apni aankhen
Door kshitiz par
Dikhayi deta hai ek chehara
Undekha saa, muskuraarta saa
Sunaayi dei hai ek awaaz
Unsuni si, kuch gunugunaati shi
Kuch gaati si

Phir,
Sab kuch pahle saa ho jaata hai
Saari thakan jaane kahan jaati hai
Man aashaaon se bhar jaata hai



Hawa mein saans chali gayi
Saza mein aas chali gayi
Mehsoos hui itni mujhe
Paani ki pyaas chali gayi
Jis dava ki chah thee itni mujhe
Woh dua bhee aaj chali gayi
Mohabat ibadat hoti hai
Kabhi thee paas chali gayi


Jaan ek akele kanaam agar mit jaye to kyaa
Kela akela hota hai
Nishan agar mit jaye to kya
Pise hue akele kaa
Ram agar it jaye to kya
Akela to toota hai hi
Armaan agar mit jaye to kya


Kitna pagal hai yeh dil
Kitna pagal hai yeh dil
Hawa mein tumhara paegaam dhoondta hai
Is jagah mein tumhara nishaan dhoondta hai
Aasman mein tumhara ye naam dhoondta hai
Sitare magar batate nahin
Nazare yahan ke manate nahin
Zhonke kabhi kuch jatate nahin
Ye ishare bhi dil ko smajhate nahin
Virane mein tumahara ye saath dhoondta hai
Kitna pagal hai ye dil
Virane hai hamare
Tum hamare nahin


Raat ko din keh bhaiteh,
Din ko raat keh bhaite,
Yeh kya hoova hain hum ko
Shyad mujeh pyar hogya hai
Par khud par yakee nahi hain,
Kya yahi pyar hai
Yaad kise ki ati hai phir dil ko satathi hai
Aur ate jate jo milta unsa lagta hai
Kya yahi pyar hai
Intazar hota hai
Kamoishi chajate hai
Dil bekkharar hojata hai
Nend udd jate hai
Raat tho durr humein ujala kab hota ai yeh bhi nahi pata
Kya yahi pyar hai
Vo ayenge
Ek din mulakat hogi
Dil ko sukun mile ga
Khud par yakeen hoga
Raat ko raat kahenge
Din ko din kahenge
Laken vo din ayega
Suchth hoon kya aysa sooch na pyar hai
Lagta hai yahi pyar hai


Dil-o-jaan se chaha hai tum ko,
Shayad aap bhi hum ko itna hi pyar karenge,
Ahs laga ke bhaite hain hum,
App ke dil ko dastak dete phirte hain,
Kya aap ko sunye derhe hamare kht khta hat?
Dil ke drvaze ko bande maat karna,
Band hain tho kholne maat bhulna
App ki zindagi ke awwaaz hum ko yahan tak ate hain
Kash aap ko khbar hai
Ki app se jo baaten ki thi
Vo aaj tak hamare dil mein baase hain
Aur app ke yaden ha mein ajj tak rasee hain
Dil ka dard hain
Dawa app ke paas hain
Yeh kya insaaf hai char din jo muntazir huvi hain
Us ein bhi marddalna chate ho kya
Laken hum app ko apne mein basa ke zinda rahenge
Agar maut aagyi bhi tho bhi App ko yaad karnge
Lak sataooge zindagi mein
App ko yaad karnge aur je jayenge
Bus app aur meri tanhayi



Woh katchi galiyon se mein chalta gaya
Un mein tushje dhoonta hua
Mein kutch nirash sa ho gaya
Us gali ke shor mein
Mujhe sirf teri hi awaaz sunaie deti
Jab pata chala tu chali gayee
Yeh ankhon mein teri soorat kutch reh gayee
Har ek ladki mein teri khoobsurati dikne lagee
Logon ne mujhe deewana karaar diya
Bus uske baad kya hona tha
Dusre dil dene walon ke jaise
Mera bhi janaza uth gaya


Do deewane ek shahar ke
Anpa ek basera banana chahte
Par yeh to bas ek sapna hi reh gaya
Manzil ke raste par itne rukawatein jo agaye
Shaadi unki nahi ho rahi thi
Kyun ki ma baap ne raza hi hahi di
Bagi ban gaye dono,
Chod diya apna ghar
Un ke paise din ba din ghatte
Chad gaya sar pe karz
Jaise bhi woh rahe,
Bhush bohut the yeh bhi nahi laga unhe,
Ki ghar mein rashan de dabbe khali ho gaye
Dono ko nazar lag gayee jaise
Un ke sare sapne tooth gaye
Do deewano mein se ek mar gaya
Aur dusra marne ko hai


Tere hothon pe main ek din
Dewaanaa pyaar likh dungaa
Teri maoosom hichaki par
Kai uphaar likh dungaa

Tere bahake se kaalon par
Tere sharmaaye gaalon par
Tere khwaabon khayaalon par
Mera iqraar likh dungaa

Tere gardan ke dhaalon par
Ubharate sab sawaalon par
Main apane ishk ke gahare
Kai izhaar likh dungaa

Tere kaandhon ko thaamungaa
Tujhe khud main milaa lungaa
Teri dhadhakan ki har dhun main
Meri jhankaar likh dungaa

Teri in shokh saanson par
Chhupaa kar rakhi pyaason par
Teri dharati pe barasunga
Kaan kann pyar likh dungaa

Kabhi maawa na kaali ho
Teri har shab diwaali ho
Nassebon ki kitaabon main
nayaa sansaar likh dunga


Yeh Khalish kar degi deewaanaa mujhe
Jaan kar bhi kyun na pehchaanaa mujhe

Ashq ka dariyaa bahaate dekh kar
De gayaa woh khaali paimaanaa mujhe

Aasamaan itne dikhaaye kis liye
Khaak jaise thaa jo thukaraanaa mujhe

Aashiqi ke zikr main ek ajanabi
Kah gayaa meraa hi afsaanaa mujhe

Woh naa aye hain kabhi naa aayenge
Band kar do aur behalaanaa mujhe


Zindagi shikwaa hai
Ya shikayat hai koi
Jimmewari hai
Ya innayat hai koi
Pyar hai
Gam hai
Bharosa hai
Ya khusi koi
Ya sirf bahana hai
Aur rawayat hai koi
Suna ki jindagi jeene ka dhang hota hai
Hai bhi ya sirf salahiyat hai koi
Khwaab zindagi
Zindagi khawaab ho nahin sakti
Yehi sach hai ya aur bhi kahawat hai koi


Kya milega tumhe mera pyaar bechakar
Kya milega duniya ko ishe kharidkar
Milega to sirf milega mujhe
Katega umarr bhar ka waquat inhai lekar
Milega to sirf mujhe
Par na milegi to mujhe


kuchh likhoon,
likhkar padhoon,
padhkar suna jaoon,
sunkar kaha jaoon-
kavi .
ek achchha kavi .
nahin ! yah nahin abhilasha meri,
kavita ki bhasha meri.
kabhi dikhoon,
dikhkar badhoon,
badhkar suna jaoon,
sunkar kaha jaoon ravi .
mujh nisha ka ravi.


prem ki parivartit paribhasha-
man ko poochhe kaun, tan ki aasha;
lupt laaj sankoch, naino ki bhasha;
anant pipasa, anant pipasa;
prem ki parivartit paribhasha!



kitna pagal hai ye dil
hawa mein tumhara paegaam dhoondta hai
is jagah mein tumhara nishaan dhoondta hai
aasman mein tumhara ye naam dhoondta hai
sitare magar batate nahin
nazare yahan ke manate nahin
zhonke kabhi kuch jatate nahin
ye ishare bhi dil ko samjhate nahin
virane mein tumahara ye saath dhoondta hai
kitna pagal hai ye dil
virane hai hamare
tum hamare nahin



hawa mein saans chali gayi
saza mein aas chali gayi
mehsoos hui itni mujhe
paani ki pyaas chali gayi
jis dava ki chah thee itni mujhe
woh dua bhee aaj chali gayi
mohobat ibadat hoti hai
kabhi thee paas chali gayi



anjaan ek akele ka
naam agar mit jaye to kya
akela akela hota hai
nishan agar mit jaye to kya
pise hue akele ka
aaram agar mit jaye to kya
akela to toota hai hi
armaan agar mit jaye to kya


kare sikwe toh kisse kare
apne hue paraye
naraz bhi kya honge hum
pyar ke niyam samaj na payee

dosti ke bich
koi gher na aye
yeh hamara esas hai
esaso ka kya mazla
dil ke pass khud
ek jaan hai


pyar baatne aate hai saab
dard baatna toh ek ghunah hai
woh koun musaphir tha
to maan ke kaato ko
phoolo me badal gaya


Rishto Nato Ko Nibhata Chala Gaya,
Apne Aap Ko Bhulta Chala Gaya,
Na ki Bandagi Oos Rehamat Khuda Ki,
Mutthi Bandhkar Aaya tha Khali Hath Chala Gaya


Kitna sundar kitna nyara
mere desh ka har ek nazara
sina taankar khada 'Himalay'
pavitra paavan 'Ganga' ki dhara
prem ka pratik bana 'Taj Mahal' he
bhktajno ka ghar 'Gurudwara'
kahin 'Allah-O-Akbar' ki sada he
kahin 'Ram Naam' kisi ne pukara
'Girjaghar' mein dip jala he
Hari naam ka rat laga he
'Gandhi', 'Subhash', 'Bhagat Singh' ke lahoo ne
isko sincha ise sanwara
kahin khet dulhan se sajhe he
khalihaano mein mele se lage he
kaumi ekta aur akhanditta ki
jinda mishaal he desh hamara
'Tulsi Daas' ke dohe kahin pe
kahin pe gunjti he 'Sant Waani'
Awliya-O-Allah ka watan he
ye he hindustaan hamara
Hindu, Muslim, Sikh, IsaaiHum sabhi he bahi-bhai
hum he ek duje ka saharahaan 'Bharat' he desh hamara


Zindagi ke udaas lamhon mein
teri yaadon ke darichon mein se
wafa-o-khulus ka halka sa aur madhdham madhdham
hawa ka jhonka
mere dil ko jab gudgudata he
to tanhai ki udaas saamon ka ek ek pal
milan ki aas mein is tarah rangin hokar
fazaon mein chupke se bikhar jata he
jayse dhanak ke saat rangon se safed aasmaan
rangbirangi ho jata he
aur teri yaad ki khusboo se moattar ye fijhan
teri maujudgi ka subut yun dilati he
jayse aandhi ki jad mein aakar ek chota sa diya
apni luv unchi kiye timtimata rehta he

Dil main ab avaz kahan hai
Tuut gaia to saz kahan hai
Aank main ansoo lab peh khamooshi
Dil ki baat ab raz kahan hai
Parda bhi jalva ban jata
Aank tajalee saz kahan hai
Buth kahne ka azum hai mahir
Kabe ka darbaz kahan hai


By Hassan Gafri
Mere jeene ki aas ban jao
Barhana hoon libas ban jao
Tabke ya sarab ka alum
Kuch haqeeqat shenas ban jao
Dohar ke hajatain badaal dalo
Tum mere bhook pias ban jao
Waqt ki har kitab ka sabir
Tum hi khud iqtabas ban jao

Koy Agosh Mein Le Le Yun Chupaale Mujhko
Ke Mein Girta Hun Koy Aake Sambhale Mujhko
Toofani Dariya He Aur Tuti Huvi Meri Nayya
Badha Ke Haath Yun Saahil Pe Bulale Mujhko

No comments:

Post a Comment